Tuesday, 20 November 2018

rahi - culmination of my ten years

na allah se hai wasta
na ram se hamdardi hai

mein kis rah pe hu
tughme kyu dilchuspi hai

rahi hai rah pe hai
manzil khoj lenge
raste badal lenge
aur bhatak bhi gaye to tughe isse kya
nirarthak zidagi thi nirarthak zindagi hai

pyaar ka rang bhi dekha
zarurat ki sachai bhi dekhi
kuch kadam sath chal mere
zakhm bhi dikh jayenge

sach ke kai vikreta se mille
sach ke kai rup bhi dekhe
hua wahi jo shayad pehle se malum tha
jitna jana utna jana ki kam jana
sach abhi dur hai
thoda badle hai sach ke karan
bahut badalna baki hai

har zakhm sunehra hai
har ghaav gehra hai
fakra hai apne liye hue kadmo par
thoker se hi sikhe,  ki thokar hi sikhate hai
na chalte to zinda na hote
yahi sochke muskurate hai


samne andhera tha , har kadam pe
apne hi dar ne apne app ko  ghera tha
jitna chale unta ujala mila
khud ko dekha kai ujalo ke rang mein
ujalo ke rang bhi hote...pehli dafe samagh mein ayya
ab kis baat ka andhera, chalte chalo har din naya savera hai


ye path asana nahi
fir asaan to kuch nahi
jis manzil ko pane chale the
wo abhi dur hai


kasam paida karne wale ki,
rukenge nahi, jab tak hai saans
wo har saans us rah ke naam
jo manzil se zyada zaruri hai


us ujale ki khoj ka ek hi karan hai
sthaii samadhan
jab tak nahi milega
khoj jari rahegi
disha kabhi tu batao , kabhi hum


oh mere hamsafar
bahar mat khoj
mein tughme hi ho










No comments:

Post a Comment